andar bilkul kaDwe lekin bahar miThe hote hain
andar bilkul kaḌve lekin bāhar mīThe hote haiñ
ūñche qad ke log yahāñ par aksar nīche hote haiñ
be-shak sehat ko ghātak hoñ koī farq nahīñ paḌtā
bāzāroñ meñ vo hī bikte phal jo mīThe hote haiñ
dhīre dhīre jaam pilā ai saaqī aisī jaldī kyoñ
sab ke apne piine ke kuchh taur-tarīqe hote haiñ
jin ke andar hotā hai kuchh koī shor nahīñ karte
lekin bajne vaale bartan aksar riite hote haiñ
kāñTe jaisī fitrat hotī saare aise logoñ kī
muñh ke mīThe chehre se jo phuul sarīḳhe hote haiñ
andar bilkul kaDwe lekin bahar miThe hote hain
unche qad ke log yahan par aksar niche hote hain
be-shak sehat ko ghatak hon koi farq nahin paDta
bazaron mein wo hi bikte phal jo miThe hote hain
dhire dhire jam pila ai saqi aisi jaldi kyon
sab ke apne pine ke kuchh taur-tariqe hote hain
jin ke andar hota hai kuchh koi shor nahin karte
lekin bajne wale bartan aksar rite hote hain
kanTe jaisi fitrat hoti sare aise logon ki
munh ke miThe chehre se jo phul sariKHe hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.