andar ka aadmi kabhi bahar na aa saka
andar kā aadmī kabhī bāhar na aa sakā
jo dil kā mudda.ā thā zabāñ par na aa sakā
har lamha ashk-bār rahī hai hamārī aañkh
ma.amūl par kabhī ye samundar na aa sakā
nikle the yuuñ to log ta.āqub meñ be-shumār
lekin koī bhī tere barābar na aa sakā
ai shahr-e-yār merā to dāman thā chhed chhed
achchhā huā ki maiñ tire dar par na aa sakā
ḳhālī rahā hai kāsa-e-chashm apnā umar bhar
hisse meñ apne ek bhī manzar na aa sakā
andar ka aadmi kabhi bahar na aa saka
jo dil ka muddaa tha zaban par na aa saka
har lamha ashk-bar rahi hai hamari aankh
mamul par kabhi ye samundar na aa saka
nikle the yun to log taaqub mein be-shumar
lekin koi bhi tere barabar na aa saka
ai shahr-e-yar mera to daman tha chhed chhed
achchha hua ki main tere dar par na aa saka
KHali raha hai kasa-e-chashm apna umar bhar
hisse mein apne ek bhi manzar na aa saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.