andar ka saya-dar shajar KHwab ho gaya
andar kā sāya-dār shajar ḳhvāb ho gayā
qismat jo aaḌe aa.ī hunar ḳhvāb ho gayā
ghar se sajā ke ḳhvāb vo aayā thā shahr meñ
puurā huā jo ḳhvāb to ghar ḳhvāb ho gayā
har phuul taar taar hai har ġhuncha zaar zaar
ujḌī huī bahār sā har ḳhvāb ho gayā
sab ‘azmateñ tumhārī ḳhayālāt ho ga.iiñ
kyā hogā hashr qasr agar ḳhvāb ho gayā
aisī ḳhatā pe mujh ko sazā milnī chāhiye
kaise bhalā ḳhilāf-e-sahar ḳhvāb ho gayā
majnūñ kā ruup dhaar ke sahrā-e-zīst meñ
puurī tarah se ḳhāk-basar ḳhvāb ho gayā
mujh se na pūchiyegā bichhaḌ jaane kā sabab
bas itnā jāntā huuñ qamar ḳhvāb ho gayā
'zāhid' jahān-e-hirs-o-havas kyā jahān hai
hairān huuñ ki ḳhvāb ke sar ḳhvāb ho gayā
andar ka saya-dar shajar KHwab ho gaya
qismat jo aaDe aai hunar KHwab ho gaya
ghar se saja ke KHwab wo aaya tha shahr mein
pura hua jo KHwab to ghar KHwab ho gaya
har phul tar tar hai har ghuncha zar zar
ujDi hui bahaar sa har KHwab ho gaya
sab ‘azmaten tumhaari KHayalat ho gain
kya hoga hashr qasr agar KHwab ho gaya
aisi KHata pe mujh ko saza milni chahiye
kaise bhala KHilaf-e-sahar KHwab ho gaya
majnun ka rup dhaar ke sahra-e-zist mein
puri tarah se KHak-basar KHwab ho gaya
mujh se na puchiyega bichhaD jaane ka sabab
bas itna jaanta hun qamar KHwab ho gaya
'zahid' jahan-e-hirs-o-hawas kya jahan hai
hairan hun ki KHwab ke sar KHwab ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.