andar se muntashir hun ki bahar shikasta hai
andar se muntashir huuñ ki bāhar shikasta hai
maiñ ḳhud shikasta huuñ ki mirā ghar shikasta hai
har shai ke ḳhāl-o-ḳhad haiñ mire ḳhuuñ meñ muntashir
har jism mere jism ke andar shikasta hai
niklā thā kis kī naav meñ sāhil ke chaav meñ
ab tak huuñ maiñ bahāv meñ lañgar shikasta hai
ik sañg se hai fikr-e-arastū sharar-numā
ik aa.ine meñ aks-e-sikandar shikasta hai
ik mahviyat ki hairat-e-sāhil hai har taraf
ik kaifiyat ki saarā samundar shikasta hai
yā shīsha-e-nigah hī milā mujh ko chūr-chūr
yā shīsha-e-jihat meñ ye manzar shikasta hai
'kausar' badal ga.e haiñ parastish ke zā.iqe
mehrāb sar-ḳhamīda hai mimbar shikasta hai
andar se muntashir hun ki bahar shikasta hai
main KHud shikasta hun ki mera ghar shikasta hai
har shai ke KHal-o-KHad hain mere KHun mein muntashir
har jism mere jism ke andar shikasta hai
nikla tha kis ki naw mein sahil ke chaw mein
ab tak hun main bahaw mein langar shikasta hai
ek sang se hai fikr-e-arastu sharar-numa
ek aaine mein aks-e-sikandar shikasta hai
ek mahwiyat ki hairat-e-sahil hai har taraf
ek kaifiyat ki sara samundar shikasta hai
ya shisha-e-nigah hi mila mujh ko chur-chur
ya shisha-e-jihat mein ye manzar shikasta hai
'kausar' badal gae hain parastish ke zaiqe
mehrab sar-KHamida hai mimbar shikasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.