andarun nind ka ek Khaali makan hota tha
andarūñ niiñd kā ik ḳhālī makāñ hotā thā
merī āñkhoñ meñ tirā ḳhvāb nihāñ hotā thā
roz jaate the bahut duur talak ham donoñ
par ye mā'lūm nahīñ hai maiñ kahāñ hotā thā
dasht ke paar bahut duur thī ik ābādī
aur us samt bahut gahrā dhuāñ hotā thā
ḳhauf ke baa'd bhī vahshat hī nazar aatī thī
vahshatoñ se bhī pare koī jahāñ hotā thā
maiñ kahānī se bahut duur nikal aayā thā
merā kirdār kahīñ aur bayāñ hotā thā
andarun nind ka ek KHali makan hota tha
meri aankhon mein tera KHwab nihan hota tha
roz jate the bahut dur talak hum donon
par ye ma'lum nahin hai main kahan hota tha
dasht ke par bahut dur thi ek aabaadi
aur us samt bahut gahra dhuan hota tha
KHauf ke ba'd bhi wahshat hi nazar aati thi
wahshaton se bhi pare koi jahan hota tha
main kahani se bahut dur nikal aaya tha
mera kirdar kahin aur bayan hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.