andesha-ha-e-roz-e-mukafat aur main
andesha-hā-e-roz-e-mukāfāt aur maiñ
is dil ke be-shumār savālāt aur maiñ
ḳhalq-e-ḳhudā pe ḳhalq-e-ḳhudā kī ye dār-o-gīr
hairāñ ḳhudā-e-arz-o-samāvāt aur maiñ
kyā thī ḳhushī aur us kī thī kyā qīmat-e-ḳharīd
ab rah ga.e haiñ aise hisābāt aur maiñ
har lahza zindagī kī ināyāt aur vo
har lamha ek marg-e-mufājāt aur maiñ
pahle sadāqatoñ ke vo parchār aur dil
ab qaul-o-fe.al ke ye tazādāt aur maiñ
hārūñgī maiñ hī mujh ko ye vahm-o-gumāñ na thā
aapas meñ jab harīf the hālāt aur maiñ
hamrāz-o-ham-suḳhan thā magar is ke bāvajūd
Takrā.e mere dil ke mafādāt aur maiñ
andesha-ha-e-roz-e-mukafat aur main
is dil ke be-shumar sawalat aur main
KHalq-e-KHuda pe KHalq-e-KHuda ki ye dar-o-gir
hairan KHuda-e-arz-o-samawat aur main
kya thi KHushi aur us ki thi kya qimat-e-KHarid
ab rah gae hain aise hisabaat aur main
har lahza zindagi ki inayat aur wo
har lamha ek marg-e-mufajat aur main
pahle sadaqaton ke wo parchaar aur dil
ab qaul-o-feal ke ye tazadat aur main
haarungi main hi mujh ko ye wahm-o-guman na tha
aapas mein jab harif the haalat aur main
hamraaz-o-ham-suKHan tha magar is ke bawajud
Takrae mere dil ke mafadat aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.