andeshon ka zahr piya hai
andeshoñ kā zahr piyā hai
mushkil se jiinā sīkhā hai
vaqt ne aisā ġham baḳhshā hai
sahrāoñ meñ jī lagtā hai
dāman dāman ḳhuun ke dhabbe
āḳhir kis kā qatl huā hai
aaj club ke darvāze par
chaprāsī ḳhāmosh khaḌā hai
dīvānoñ kī baat na maano
lekin sun lene meñ kyā hai
ab to ḳhud apne chehre par
ġhairoñ kā dhokā hotā hai
dhīre dhīre jaise koī
mere vajūd ko chaaT rahā hai
andeshon ka zahr piya hai
mushkil se jina sikha hai
waqt ne aisa gham baKHsha hai
sahraon mein ji lagta hai
daman daman KHun ke dhabbe
aaKHir kis ka qatl hua hai
aaj club ke darwaze par
chaprasi KHamosh khaDa hai
diwanon ki baat na mano
lekin sun lene mein kya hai
ab to KHud apne chehre par
ghairon ka dhoka hota hai
dhire dhire jaise koi
mere wajud ko chaT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.