andhe na hon to zulm ka manzar na dekhiye
andhe na hon to zulm ka manzar na dekhiye
imtiyaz Khan Igatpuri
MORE BYimtiyaz Khan Igatpuri
andhe na hoñ to zulm kā manzar na dekhiye
is dekhne se laakh hai behtar na dekhiye
kyā jaane is meñ kitnī hoñ chingāriyāñ dabī
ḳhvāboñ ke jism ko kabhī chhū kar na dekhiye
gintī na kījiye kabhī lāshoñ kī jang meñ
ḳhātir vatan kī kitne kaTe sar na dekhiye
rishte sabhī jo chhoḌ ke ik baar chal diye
phir kaun taktā rah gayā muḌ kar na dekhiye
hai shart sirf hausla ūñchī uḌaan ko
kitne qavī uqaab ke haiñ par na dekhiye
andhe na hon to zulm ka manzar na dekhiye
is dekhne se lakh hai behtar na dekhiye
kya jaane is mein kitni hon chingariyan dabi
KHwabon ke jism ko kabhi chhu kar na dekhiye
ginti na kijiye kabhi lashon ki jang mein
KHatir watan ki kitne kaTe sar na dekhiye
rishte sabhi jo chhoD ke ek bar chal diye
phir kaun takta rah gaya muD kar na dekhiye
hai shart sirf hausla unchi uDan ko
kitne qawi uqab ke hain par na dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.