andher-nagri ke shahzado ye raat bas ek do ghaDi hai
andher-nagrī ke shāhzādo ye raat bas ek do ghaḌī hai
diloñ ke ghaav chamak uThe haiñ lahū kī naddī ubal paḌī hai
tum is ko qismat kī baat jaano ise muqaddar kā khel samjho
hidāyateñ ahmaqoñ se lenā ye āzmā.ish bahut kaḌī hai
tumhāre qabze meñ dukh hī dukh haiñ magar suno maut ke farishto
hamārī jholī meñ zindagī hai jo sab dukhoñ se bahut baḌī hai
hamārī āñkhoñ meñ āñkheñ Daalo to jaan loge ki apnī baazī
zamīn kī bedād se Thanī hai falak kī raftār se laḌī hai
shahr shahr jashn kā samāñ hai vo maut kā raqs ho rahā hai
ufuq pe aise anaar chalte haiñ jaise barsāt kī jhaḌī hai
lahū ko barsātī haiñ jo āñkheñ ab un se sho.ale nikal rahe haiñ
hamārī duniyā ye lag rahā hai kisī na.e moḌ par khaḌī hai
tumhārī ḳhātir na-jāne kab kī hameñ to me.arāj mil chukī hai
jo ham uThā kar salīb laa.e the ab tumhāre liye gaḌī hai
andher-nagri ke shahzado ye raat bas ek do ghaDi hai
dilon ke ghaw chamak uThe hain lahu ki naddi ubal paDi hai
tum is ko qismat ki baat jaano ise muqaddar ka khel samjho
hidayaten ahmaqon se lena ye aazmaish bahut kaDi hai
tumhaare qabze mein dukh hi dukh hain magar suno maut ke farishto
hamari jholi mein zindagi hai jo sab dukhon se bahut baDi hai
hamari aankhon mein aankhen Dalo to jaan loge ki apni bazi
zamin ki bedad se Thani hai falak ki raftar se laDi hai
shahr shahr jashn ka saman hai wo maut ka raqs ho raha hai
ufuq pe aise anar chalte hain jaise barsat ki jhaDi hai
lahu ko barsati hain jo aankhen ab un se shoale nikal rahe hain
hamari duniya ye lag raha hai kisi nae moD par khaDi hai
tumhaari KHatir na-jaane kab ki hamein to mearaj mil chuki hai
jo hum uTha kar salib lae the ab tumhaare liye gaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.