andhera chhaT raha hai raushni hone lagi hai
añdherā chhaT rahā hai raushnī hone lagī hai
uTho dastak numūd-e-sub.h kī hone lagī hai
zarūrat jaisī bhī ho lāzmī hone lagī hai
bahut masrūf merī zindagī hone lagī hai
mire ġham meñ izāfa rafta rafta ho rahā hai
kahīñ to muntaqil merī ḳhushī hone lagī hai
mire apne parā.e kī tarah hone lage haiñ
mirī vābastagī ġhairoñ se hī hone lagī hai
khule din se khulī āñkhoñ se duniyā dekh aayā
nafī ḳhud merī hī isbāt kī hone lagī hai
koī bhī justujū-o-shauq koī bhī tamanna
na hotī thī kabhī to kyoñ abhī hone lagī hai
andhera chhaT raha hai raushni hone lagi hai
uTho dastak numud-e-subh ki hone lagi hai
zarurat jaisi bhi ho lazmi hone lagi hai
bahut masruf meri zindagi hone lagi hai
mere gham mein izafa rafta rafta ho raha hai
kahin to muntaqil meri KHushi hone lagi hai
mere apne parae ki tarah hone lage hain
meri wabastagi ghairon se hi hone lagi hai
khule din se khuli aankhon se duniya dekh aaya
nafi KHud meri hi isbaat ki hone lagi hai
koi bhi justuju-o-shauq koi bhi tamanna
na hoti thi kabhi to kyon abhi hone lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.