Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de

Waheed Akhtar

andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de

Waheed Akhtar

MORE BYWaheed Akhtar

    añdherā itnā nahīñ hai ki kuchh dikhā.ī na de

    sukūt aisā nahīñ hai jo kuchh sunā.ī na de

    jo sunñā chāho to bol uTTheñge añdhere bhī

    na sunñā chāho to dil sadā sunā.ī na de

    jo dekhnā ho to ā.īna-ḳhāna hai ye sukūt

    ho aañkh band to ik naqsh bhī dikhā.ī na de

    ye rūheñ is liye chehroñ se ḳhud ko Dhāñpe haiñ

    mile zamīr to ilzām-e-bevafā.ī na de

    kuchh aise log bhī tanhā hujūm meñ haiñ chhupe

    ki zindagī unheñ pahchān kar duhā.ī na de

    huuñ apne-āp se bhī ajnabī zamāne ke saath

    ab itnī saḳht sazā dil āshnā.ī na de

    sabhī ke zehn haiñ maqrūz kyā qadīm o jadīd

    ḳhud apnā naqd-e-dil-o-jāñ kahīñ dikhā.ī na de

    bahut hai fursat-e-dīvāngī hasrat bhī

    'vahīd' vaqt gar izn-e-ġhazal-sarā.ī na de

    andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de

    sukut aisa nahin hai jo kuchh sunai na de

    jo sunna chaho to bol uTThenge andhere bhi

    na sunna chaho to dil ki sada sunai na de

    jo dekhna ho to aaina-KHana hai ye sukut

    ho aankh band to ek naqsh bhi dikhai na de

    ye ruhen is liye chehron se KHud ko Dhanpe hain

    mile zamir to ilzam-e-bewafai na de

    kuchh aise log bhi tanha hujum mein hain chhupe

    ki zindagi unhen pahchan kar duhai na de

    hun apne-ap se bhi ajnabi zamane ke sath

    ab itni saKHt saza dil ki aashnai na de

    sabhi ke zehn hain maqruz kya qadim o jadid

    KHud apna naqd-e-dil-o-jaan kahin dikhai na de

    bahut hai fursat-e-diwangi ki hasrat bhi

    'wahid' waqt gar izn-e-ghazal-sarai na de

    Source :
    • Book : shab khuun (48) (rekhta website) (Pg. 12)
    • Edition : 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now