andhera jhel leta hun sitare chhoD deta hun
añdherā jhel letā huuñ sitāre chhoḌ detā huuñ
maiñ tūfāñ bhāñp kar phir bhī kināre chhoḌ detā huuñ
mujhe tanhā hī rahnā hai kisī se kuchh nahīñ kahnā
jo dil bezār ho jaa.e to saare chhoḌ detā huuñ
ziyāda der dil ik kaam meñ Tik kar nahīñ lagtā
maiñ piñjra khol detā huuñ ġhubāre chhoḌ detā huuñ
bahut bāteñ banātā huuñ maiñ kaafī boltā bhī huuñ
magar jo guftugū ho tere baare chhoḌ detā huuñ
kisī kā qarz kāñdhe par uThāne se maiñ Dartā huuñ
maiñ qasdan Duub jaatā huuñ sahāre chhoḌ detā huuñ
andhera jhel leta hun sitare chhoD deta hun
main tufan bhanp kar phir bhi kinare chhoD deta hun
mujhe tanha hi rahna hai kisi se kuchh nahin kahna
jo dil bezar ho jae to sare chhoD deta hun
ziyaada der dil ek kaam mein Tik kar nahin lagta
main pinjra khol deta hun ghubare chhoD deta hun
bahut baaten banata hun main kafi bolta bhi hun
magar jo guftugu ho tere bare chhoD deta hun
kisi ka qarz kandhe par uThane se main Darta hun
main qasdan Dub jata hun sahaare chhoD deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.