andhera raat ka is waqt buDha hone wala hai
añdherā raat kā is vaqt būḌhā hone vaalā hai
darīche khol kar dekho saverā hone vaalā hai
bikherā hai falak ne zāfrānī rañg dhartī par
daraḳhtoñ kā har ik pattā sunahrā hone vaalā hai
vo apnī dastaras se ab mujhe āzād kar degā
amīr-e-shahr ke hāthoñ ujālā hone vaalā hai
havelī kā har ik gosha gulāboñ se mahaktā hai
kisī mazlūm kī aahoñ kā saudā hone vaalā hai
parinde ghoñsloñ kī laaT meñ jo sahme baiThe haiñ
kisī tūfāñ kī aamad hai añdherā hone vaalā hai
vo merī shaḳhsiyat par ab karegā tabsira shāyad
mire afkār ke rañgoñ kā charchā hone vaalā hai
badan meñ ḳhuun kī ik buuñd bhī baaqī nahīñ 'arshad'
mirī saf meñ raqīboñ kā izāfa hone vaalā hai
andhera raat ka is waqt buDha hone wala hai
dariche khol kar dekho sawera hone wala hai
bikhera hai falak ne zafrani rang dharti par
daraKHton ka har ek patta sunahra hone wala hai
wo apni dastaras se ab mujhe aazad kar dega
amir-e-shahr ke hathon ujala hone wala hai
haweli ka har ek gosha gulabon se mahakta hai
kisi mazlum ki aahon ka sauda hone wala hai
parinde ghonslon ki laT mein jo sahme baiThe hain
kisi tufan ki aamad hai andhera hone wala hai
wo meri shaKHsiyat par ab karega tabsira shayad
mere afkar ke rangon ka charcha hone wala hai
badan mein KHun ki ek bund bhi baqi nahin 'arshad'
meri saf mein raqibon ka izafa hone wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.