andhera sa kya tha ubalta hua
añdherā sā kyā thā ubaltā huā
ki phir din Dhale hī tamāshā huā
yahīñ gum huā thā ka.ī baar maiñ
ye rasta hai sab merā dekhā huā
na dekho tum is naaz se ā.īna
ki rah jaa.e vo muñh hī taktā huā
na jaane pas-e-kārvāñ kaun thā
gayā duur tak maiñ bhī rotā huā
kabhī aur kashtī nikāleñge ham
abhī apnā dariyā hai Thahrā huā
jahāñ jaao sar par yahī āsmāñ
ye zālim kahāñ tak hai phailā huā
andhera sa kya tha ubalta hua
ki phir din Dhale hi tamasha hua
yahin gum hua tha kai bar main
ye rasta hai sab mera dekha hua
na dekho tum is naz se aaina
ki rah jae wo munh hi takta hua
na jaane pas-e-karwan kaun tha
gaya dur tak main bhi rota hua
kabhi aur kashti nikalenge hum
abhi apna dariya hai Thahra hua
jahan jao sar par yahi aasman
ye zalim kahan tak hai phaila hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.