andhere aur baDhao to koi baat bane
añdhere aur baḌhāo to koī baat bane
inhī meñ raushnī paao to koī baat bane
is ek baat pe qaa.em hai zindagī kā madār
diyā diye se jalāo to koī baat bane
bikhar na jaa.e mire zabt-e-ġham kā shīrāza
tum apne ashk chhupāo to koī baat bane
haiñ mujh se rūThī huiiñ gardisheñ zamāne kī
qarīb mere tum aao to koī baat bane
zamīñ se kis liye ākāsh ko milāte ho
diloñ ko dil se milāo to koī baat bane
tum apnī sāñsoñ ke is madd-o-jazr hī se 'adīm'
kuchh inqalāb uThāo to koī baat bane
andhere aur baDhao to koi baat bane
inhi mein raushni pao to koi baat bane
is ek baat pe qaem hai zindagi ka madar
diya diye se jalao to koi baat bane
bikhar na jae mere zabt-e-gham ka shiraaza
tum apne ashk chhupao to koi baat bane
hain mujh se ruThi huin gardishen zamane ki
qarib mere tum aao to koi baat bane
zamin se kis liye aakash ko milate ho
dilon ko dil se milao to koi baat bane
tum apni sanson ke is madd-o-jazr hi se 'adim'
kuchh inqalab uThao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.