andhere ghar ki riwayat toD jaana hai
añdhere ghar kī rivāyāt toḌ jaanā hai
hameñ charāġh ujāle meñ chhoḌ jaanā hai
nahīñ hai masraf-e-jān aur kuchh magar ye hai
tamām ālam-e-imkāñ jhiñjhoḌ jaanā hai
vahīñ se tark-e-ta.alluq kī raah niklī hai
jahāñ se tum ne mohabbat kā moḌ jaanā hai
hai ḳhvāhishāt se chhuTnā utar to yuuñ samjho
ki bas hisār-e-havā hī to toḌ jaanā hai
hamārī ḳhāmushī be-vaj.h to nahīñ 'afsar'
isī ko zahr-e-takallum ko toḌ jaanā hai
andhere ghar ki riwayat toD jaana hai
hamein charagh ujale mein chhoD jaana hai
nahin hai masraf-e-jaan aur kuchh magar ye hai
tamam aalam-e-imkan jhinjhoD jaana hai
wahin se tark-e-talluq ki rah nikli hai
jahan se tum ne mohabbat ka moD jaana hai
hai KHwahishat se chhuTna utar to yun samjho
ki bas hisar-e-hawa hi to toD jaana hai
hamari KHamushi be-wajh to nahin 'afsar'
isi ko zahr-e-takallum ko toD jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.