andhere ka aalam abhi tak wahi hai
añdhere kā aalam abhī tak vahī hai
sahar ke ujāle meñ bhī tīrgī hai
vo lā-ilm ham se bhī niklā ziyāda
jo kahtā thā hāsil mujhe āgahī hai
Darā kar masā.ib se mujh ko na roko
mirī muntazir kab se manzil khaḌī hai
sar-e-shām dīpak bujhāo na yaaro
shab-e-tār apne saroñ par khaḌī hai
bharosa na rakh tū kisī rāhbar par
isī meñ musāfir tirī behtarī hai
ḳhatā.eñ bahut us se sarzad huī haiñ
ye 'lāġhar' farishta nahīñ aadmī hai
andhere ka aalam abhi tak wahi hai
sahar ke ujale mein bhi tirgi hai
wo la-ilm hum se bhi nikla ziyaada
jo kahta tha hasil mujhe aagahi hai
Dara kar masaib se mujh ko na roko
meri muntazir kab se manzil khaDi hai
sar-e-sham dipak bujhao na yaro
shab-e-tar apne saron par khaDi hai
bharosa na rakh tu kisi rahbar par
isi mein musafir teri behtari hai
KHataen bahut us se sarzad hui hain
ye 'laghar' farishta nahin aadmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.