andhere napna mushkil nahin hai
añdhere nāpnā mushkil nahīñ hai
magar sūraj kā itnā dil nahīñ hai
sitāre TuuT kar girte haiñ kaise
zamīñ is baat se ġhāfil nahīñ hai
girā hai mere dāman pe jo aañsū
vo merī ziist kā hāsil nahīñ hai
na jaane kis ke hāthoñ qatl Thahrā
vo zālim hai magar qātil nahīñ hai
jise 'shā.ista' tū ne toḌ Daalā
maiñ kahtī huuñ vo merā dil nahīñ hai
andhere napna mushkil nahin hai
magar suraj ka itna dil nahin hai
sitare TuT kar girte hain kaise
zamin is baat se ghafil nahin hai
gira hai mere daman pe jo aansu
wo meri zist ka hasil nahin hai
na jaane kis ke hathon qatl Thahra
wo zalim hai magar qatil nahin hai
jise 'shaista' tu ne toD Dala
main kahti hun wo mera dil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.