andheri rahon se main dil ka nur le ke chala
añdherī rāhoñ se maiñ dil kā nuur le ke chalā
nazar kī sham.a charāġh-e-shu.ūr le ke chalā
yuuñ ḳhud ko mai-kadā-e-ġham se duur le ke chalā
maiñ saath ishq kā kaif-o-surūr le ke chalā
hai dīd-e-yār mirā maqsad-e-nazar ai shaiḳh
tū sū-e-ḳhuld tamannā-e-hūr le ke chalā
'payām' jo na samajh paa.e nāqidīn-e-adab
kuchh aisī baat maiñ bainassutūr le ke chalā
andheri rahon se main dil ka nur le ke chala
nazar ki shama charagh-e-shuur le ke chala
yun KHud ko mai-kada-e-gham se dur le ke chala
main sath ishq ka kaif-o-surur le ke chala
hai did-e-yar mera maqsad-e-nazar ai shaiKH
tu su-e-KHuld tamanna-e-hur le ke chala
'payam' jo na samajh pae naqidin-e-adab
kuchh aisi baat main bainassutur le ke chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.