andheri raat ke sanche mein Dhaale ja chuke the hum
añdherī raat ke sāñche meñ Dhāle jā chuke the ham
bahut hī der se aa.e ujāle jā chuke the ham
the aisī bad-gumānī meñ nahīñ ehsās ho paayā
hamārī hī kahānī se nikāle jā chuke the ham
ye motī ashk ke ab to sadā palkoñ pe rahte haiñ
samundar se ziyāda hī khañgāle jā chuke the ham
zamīñ par ā.eñge to faisla hogā muqaddar kā
havā meñ ek sikke se uchhāle jā chuke the ham
'sachin' sūraj se zaa.id surḳh hai har zaḳhm siine kā
ġhamoñ kī aañch meñ itnā ubāle jā chuke the ham
andheri raat ke sanche mein Dhaale ja chuke the hum
bahut hi der se aae ujale ja chuke the hum
the aisi bad-gumani mein nahin ehsas ho paya
hamari hi kahani se nikale ja chuke the hum
ye moti ashk ke ab to sada palkon pe rahte hain
samundar se ziyaada hi khangale ja chuke the hum
zamin par aaenge to faisla hoga muqaddar ka
hawa mein ek sikke se uchhaale ja chuke the hum
'sachin' suraj se zaid surKH hai har zaKHm sine ka
ghamon ki aanch mein itna ubaale ja chuke the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.