andheri raat mein humne diye jalae hain
añdherī raat meñ ham ne diye jalā.e haiñ
chalī haiñ āñdhiyāñ phir bhī na TimTimā.e haiñ
haiñ rāh-e-haq ke musāfir zarā samajh lenā
ḳhudā-e-nūr ne raste hameñ dikhā.e haiñ
zamāna ham ko badal paayā hī nahīñ lekin
sabaq zamāne ko ham ne bahut sikhā.e haiñ
hameñ miTāne kī kāvish bhī rā.egāñ samjho
ham haq kī raah se bātil miTā ke aa.e haiñ
andheri raat mein hum ne diye jalae hain
chali hain aandhiyan phir bhi na TimTimae hain
hain rah-e-haq ke musafir zara samajh lena
KHuda-e-nur ne raste hamein dikhae hain
zamana hum ko badal paya hi nahin lekin
sabaq zamane ko hum ne bahut sikhae hain
hamein miTane ki kawish bhi raegan samjho
hum haq ki rah se baatil miTa ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.