andheri raat mein ek mahtab sa ubhra
andherī raat meñ ik māhtāb sā ubhrā
mirā zamīr shagufta gulāb sā ubhrā
jigar-ḳharāsh havādis kā silsila thā ajab
mirī nigāh meñ ik āftāb sā ubhrā
chhapī thī jis kī ġhazal meñ zamāne bhar kī ḳhushī
ḳhud us kī ziist kā naġhma azaab sā ubhrā
bahut qarīb se dekhā thā un ko maiñ ne magar
musalsal ek takalluf hijāb sā ubhrā
uchhāle jis pe malāmat ke sang logoñ ne
vajūd us kā muqaddas kitāb sā ubhrā
ġhamoñ kī mauj nazar meñ thī garche chāroñ taraf
masarratoñ kā jazīra hayāt sā ubhrā
andheri raat mein ek mahtab sa ubhra
mera zamir shagufta gulab sa ubhra
jigar-KHarash hawadis ka silsila tha ajab
meri nigah mein ek aaftab sa ubhra
chhapi thi jis ki ghazal mein zamane bhar ki KHushi
KHud us ki zist ka naghma azab sa ubhra
bahut qarib se dekha tha un ko main ne magar
musalsal ek takalluf hijab sa ubhra
uchhaale jis pe malamat ke sang logon ne
wajud us ka muqaddas kitab sa ubhra
ghamon ki mauj nazar mein thi garche chaaron taraf
masarraton ka jazira hayat sa ubhra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.