andheri raat nauhe ga rahi hai
añdherī raat nauhe gā rahī hai
ḳhamoshī shahr bhar meñ chhā rahī hai
zamīñ par ḳhuun itnā bah gayā hai
havāoñ meñ bhī ḳhushbū aa rahī hai
harī vaadī kā afsūñ TūTtā hai
ḳhizāñ kuchh rañg vo dikhlā rahī hai
ka.ī lāshoñ kī fasleñ kaT chukī haiñ
ki dhartī ḳhuun meñ nahlā rahī hai
gharoñ meñ shor bhī ab tham gayā hai
galī se fauj bhī ab jā rahī hai
andheri raat nauhe ga rahi hai
KHamoshi shahr bhar mein chha rahi hai
zamin par KHun itna bah gaya hai
hawaon mein bhi KHushbu aa rahi hai
hari wadi ka afsun TuTta hai
KHizan kuchh rang wo dikhla rahi hai
kai lashon ki faslen kaT chuki hain
ki dharti KHun mein nahla rahi hai
gharon mein shor bhi ab tham gaya hai
gali se fauj bhi ab ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.