andheri shab diya jugnu qamar nain
añdherī shab diyā jugnū qamar na.iñ
safar meñ ab koī bhī ham-safar na.iñ
ham aise band kamroñ ke makīñ haiñ
jahāñ taaza havāoñ kā guzar na.iñ
ḳhushāmad chāplūsī jhuuT ġhībat
hamāre paas to koī hunar na.iñ
jo ġhurbat ke añdheroñ meñ pale haiñ
na.ī tahzīb kā un par asar na.iñ
ajab mausam milā hai zindagī ko
na.ī rut hai daraḳhtoñ par samar na.iñ
sabab apnī hazīmat ke ka.ī the
bas ik tanhā bahādur-shah-zafar na.iñ
ye kis jānib safar tum kar rahe ho
ab āñkhoñ meñ umīdoñ kā nagar na.iñ
guzarne kā udhar se lutf hī kyā
jidhar maujeñ talātum aur bhañvar na.iñ
us aane vaale kal kā kyā bharosa
jin agle chand lamhoñ kī ḳhabar na.iñ
koī ik raat hī meñ ḳhatm kar le
maiñ qissa is qadar bhī muḳhtasar na.iñ
jise 'ruḳhsār' ab maiñ sah rahā huuñ
musalsal ik aziyyat hai safar na.iñ
andheri shab diya jugnu qamar nain
safar mein ab koi bhi ham-safar nain
hum aise band kamron ke makin hain
jahan taza hawaon ka guzar nain
KHushamad chaplusi jhuT ghibat
hamare pas to koi hunar nain
jo ghurbat ke andheron mein pale hain
nai tahzib ka un par asar nain
ajab mausam mila hai zindagi ko
nai rut hai daraKHton par samar nain
sabab apni hazimat ke kai the
bas ek tanha bahadur-shah-zafar nain
ye kis jaanib safar tum kar rahe ho
ab aankhon mein umidon ka nagar nain
guzarne ka udhar se lutf hi kya
jidhar maujen talatum aur bhanwar nain
us aane wale kal ka kya bharosa
jin agle chand lamhon ki KHabar nain
koi ek raat hi mein KHatm kar le
main qissa is qadar bhi muKHtasar nain
jise 'ruKHsar' ab main sah raha hun
musalsal ek aziyyat hai safar nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.