andheri shab hai meri jaan zara sa soch to le
añdherī shab hai mirī jaañ zarā sā soch to le
bujhā charāġh kabhī kaam aa hī jaatā hai
kisī kā naam pukāreñ kisī ko yaad kareñ
hamāre lab pe tirā naam aa hī jaatā hai
davā-e-dard-e-jigar jab bhī māñgtā huuñ maiñ
to mere sāmne ik jaam aa hī jaatā hai
ḳhatā.eñ shahr kā hākim kare yā aur koī
magar ġharīb pe ilzām aa hī jaatā hai
chale the ham ki abhī ibtidā-e-ulfat hai
kise ḳhabar thī ki anjām aa hī jaatā hai
jo mujh pe pahre lagātā hai us ko ilm nahīñ
vo shahr-e-dil meñ sar-e-ām aa hī jaatā hai
tujhe bhulāne kī koshish to kar rahā huuñ 'ḳhalīl'
ḳhayāl terā sar-e-shām aa hī jaatā hai
andheri shab hai meri jaan zara sa soch to le
bujha charagh kabhi kaam aa hi jata hai
kisi ka nam pukaren kisi ko yaad karen
hamare lab pe tera nam aa hi jata hai
dawa-e-dard-e-jigar jab bhi mangta hun main
to mere samne ek jam aa hi jata hai
KHataen shahr ka hakim kare ya aur koi
magar gharib pe ilzam aa hi jata hai
chale the hum ki abhi ibtida-e-ulfat hai
kise KHabar thi ki anjam aa hi jata hai
jo mujh pe pahre lagata hai us ko ilm nahin
wo shahr-e-dil mein sar-e-am aa hi jata hai
tujhe bhulane ki koshish to kar raha hun 'KHalil'
KHayal tera sar-e-sham aa hi jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.