andheri shab hai zarurat nahin batane ki
añdherī shab hai zarūrat nahīñ batāne kī
mirī taraf se ijāzat hai lauT jaane kī
koī to ho jo mizāj-e-āshnā-e-dilbar ho
kisī ke paas to chābī ho is ḳhazāne kī
vo chāhtā to mujhe sañg-dil banā detā
zyādtī mire dil par mire ḳhudā ne kī
maiñ dūsroñ ke gharoñ ko bachā rahā huuñ magar
kisī ko fikr nahīñ merā ghar bachāne kī
maiñ apne aap se munkir huā to TuuT gayā
ye dushmanī mire andar kī intihā ne kī
jise harīf samajh kar kiyā hai qatl 'niyāz'
vo aabrū thā usī be-navā gharāne kī
andheri shab hai zarurat nahin batane ki
meri taraf se ijazat hai lauT jaane ki
koi to ho jo mizaj-e-ashna-e-dilbar ho
kisi ke pas to chabi ho is KHazane ki
wo chahta to mujhe sang-dil bana deta
zyaadti mere dil par mere KHuda ne ki
main dusron ke gharon ko bacha raha hun magar
kisi ko fikr nahin mera ghar bachane ki
main apne aap se munkir hua to TuT gaya
ye dushmani mere andar ki intiha ne ki
jise harif samajh kar kiya hai qatl 'niyaz'
wo aabru tha usi be-nawa gharane ki
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 25)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.