andheri shab hawa hai aur main hun
añdherī shab havā hai aur maiñ huuñ
mirā bujhtā diyā hai aur maiñ huuñ
tumheñ ik aa.ina hai aur tum ho
mujhe sab aa.ina hai aur maiñ huuñ
vahī merī jarā.em meñ asīrī
vahī merī sazā hai aur maiñ huuñ
talāsh-e-zāt ne bhaTkā diyā hai
ab ik zehnī ḳhalā hai aur maiñ huuñ
kisī andhe kueñ meñ huuñ maiñ 'ḳhālid'
bas ik merī sadā hai aur maiñ huuñ
andheri shab hawa hai aur main hun
mera bujhta diya hai aur main hun
tumhein ek aaina hai aur tum ho
mujhe sab aaina hai aur main hun
wahi meri jaraem mein asiri
wahi meri saza hai aur main hun
talash-e-zat ne bhaTka diya hai
ab ek zehni KHala hai aur main hun
kisi andhe kuen mein hun main 'KHalid'
bas ek meri sada hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.