andheron se agar aaina-samani hui hogi
añdheroñ se agar ā.īna-sāmānī huī hogī
baḌī mushkil se koī shakl nūrānī huī hogī
charāġhoñ ke pate milte nahīñ shab-gāh-e-hastī meñ
havā-e-shām tujh se koī nādānī huī hogī
nahīñ mujh sā koī tanhā zamāne meñ huā hogā
na ābāde meñ is sūrat bayābānī huī hogī
nazar ke sāmne phailā huā dashtāb sā kyā hai
yaqīnan āb-zāroñ meñ shatarbānī huī hogī
paroñ par āsmānī vasvase lipTe rahe hoñge
parindoñ se tabhī parvāz gardānī huī hogī
phir apnā hissa lene aaj ḳhuddārī nahīñ aa.ī
zamīñ-dāroñ se baTvāre meñ man-mānī huī hogī
shikār-e-sher-shor-añgez un ke haath aa jaa.e
isī zid meñ harīfoñ se ġhazal-rānī huī hogī
yuuñ barfānī havāoñ se uqaab uljhe agar hoñge
to shiryānoñ meñ bahtī aag bhī paanī huī hogī
nikāle hoñge jab afkār ne sheroñ meñ gul-būTe
tabhī koī ġhazal 'parvez' rahmānī huī hogī
andheron se agar aaina-samani hui hogi
baDi mushkil se koi shakl nurani hui hogi
charaghon ke pate milte nahin shab-gah-e-hasti mein
hawa-e-sham tujh se koi nadani hui hogi
nahin mujh sa koi tanha zamane mein hua hoga
na aabaade mein is surat bayabani hui hogi
nazar ke samne phaila hua dashtab sa kya hai
yaqinan aab-zaron mein shatarbani hui hogi
paron par aasmani waswase lipTe rahe honge
parindon se tabhi parwaz gardani hui hogi
phir apna hissa lene aaj KHuddari nahin aai
zamin-daron se baTware mein man-mani hui hogi
shikar-e-sher-shor-angez un ke hath aa jae
isi zid mein harifon se ghazal-rani hui hogi
yun barfani hawaon se uqab uljhe agar honge
to shiryanon mein bahti aag bhi pani hui hogi
nikale honge jab afkar ne sheron mein gul-buTe
tabhi koi ghazal 'parwez' rahmani hui hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.