andheron se tum kyon ziya mangte ho
añdheroñ se tum kyoñ ziyā māñgte ho
hukūmat se ahd-e-vafā māñgte ho
duāoñ ki tum ko zarūrat hai yaaro
davāoñ se tum kyoñ shifā māñgte ho
jo māñgī dalīleñ to aalim ye bole
baḌe be-adab ho ye kyā māñgte ho
ye daulat ye shohrat ye sab aarzī hai
mubārak ho rab kī razā māñgte ho
baḌī der kar dī nasīhat ko tum ne
na.ī nasl se ab hayā māñgte ho
chalo aaj 'shamsher' se jā ke pūchheñ
duāoñ meñ ro ro ke kyā māñgte ho
andheron se tum kyon ziya mangte ho
hukumat se ahd-e-wafa mangte ho
duaon ki tum ko zarurat hai yaro
dawaon se tum kyon shifa mangte ho
jo mangi dalilen to aalim ye bole
baDe be-adab ho ye kya mangte ho
ye daulat ye shohrat ye sab aarzi hai
mubarak ho rab ki raza mangte ho
baDi der kar di nasihat ko tum ne
nai nasl se ab haya mangte ho
chalo aaj 'shamsher' se ja ke puchhen
duaon mein ro ro ke kya mangte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.