andhi basti mein ek ajuba hun
andhī bastī meñ ik ajūba huuñ
aañkh rakhtā huuñ aur gūñgā huuñ
din tamāshā.ī mujh ko kyā jaane
merī rātoñ se pūchh kaisā huuñ
rañg-e-duniyā bhī ik tamāshā hai
apne hāthoñ meñ ik khilaunā huuñ
merī mash.al se raat pighlī thī
sub.h tinkā sā maiñ hī bahtā huuñ
kyā ye duniyā hī chāh-e-bābul hai
aadmī huuñ yā maiñ farishta huuñ
ḳhud ko paane kī kyā sabīl karūñ
maiñ inhī rāstoñ meñ khoyā huuñ
andhi basti mein ek ajuba hun
aankh rakhta hun aur gunga hun
din tamashai mujh ko kya jaane
meri raaton se puchh kaisa hun
rang-e-duniya bhi ek tamasha hai
apne hathon mein ek khilauna hun
meri mashal se raat pighli thi
subh tinka sa main hi bahta hun
kya ye duniya hi chah-e-babul hai
aadmi hun ya main farishta hun
KHud ko pane ki kya sabil karun
main inhi raston mein khoya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.