anjam-e-ishq mana aksar bura hua hai
anjām-e-ishq maanā aksar burā huā hai
be-ishq zindagī kā anjām kyā huā hai
kyā hāl-e-dil sunā.eñ kyā vaj.h-e-ġham batā.eñ
bas ye ki āj-kal vo ham se khichā huā hai
kyā zikr gul-ruḳhoñ kā is shahr ke kareñ ham
har shaḳhs hī yahāñ to qātil banā huā hai
kis kis se mil chuke haiñ kis kis se ab mileñge
ik rog zindagī ko ye bhī lagā huā hai
aisī 'ḳhalīl' āḳhir kyā baat ho ga.ī hai
āñkheñ udaas sī haiñ chehra bujhā huā hai
anjam-e-ishq mana aksar bura hua hai
be-ishq zindagi ka anjam kya hua hai
kya haal-e-dil sunaen kya wajh-e-gham bataen
bas ye ki aaj-kal wo hum se khicha hua hai
kya zikr gul-ruKHon ka is shahr ke karen hum
har shaKHs hi yahan to qatil bana hua hai
kis kis se mil chuke hain kis kis se ab milenge
ek rog zindagi ko ye bhi laga hua hai
aisi 'KHalil' aaKHir kya baat ho gai hai
aankhen udas si hain chehra bujha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.