anjam shab-e-gham ka likha aur hi kuchh hai
anjām shab-e-ġham kā likhā aur hī kuchh hai
lagtā hai ki manzūr-e-ḳhudā aur hī kuchh hai
shāyad abhī tashḳhīs-e-maraz ho nahīñ paa.ī
bīmārī hai kuchh aur davā aur hī kuchh hai
sab pyaar kī tash.hīr kiyā karte haiñ lekin
māhaul hai kuchh aur fazā aur hī kuchh hai
nā-fahm agar naġhma samajhte haiñ to samjheñ
gulshan meñ anādil kī navā aur hī kuchh hai
gahvāra-e-har-shāḳh meñ gul hai abhī bechain
gulshan kī abhī āb-o-havā aur hī kuchh hai
har gaam pe chubhne lage kyoñ paañv meñ kāñTe
nīche ravish-e-gul ke bichhā aur hī kuchh hai
duniyā meñ har ik shai ke muqaddar meñ hai jalnā
jalne kī magar sab kī adā aur hī kuchh hai
ma.alūm hai jaltā hai charāġhoñ meñ faqat tel
lekin tirī mahfil meñ jalā aur hī kuchh hai
hoñToñ pe tabassum liye phirte raho 'kausar'
chehre pe magar haal likhā aur hī kuchh hai
anjam shab-e-gham ka likha aur hi kuchh hai
lagta hai ki manzur-e-KHuda aur hi kuchh hai
shayad abhi tashKHis-e-maraz ho nahin pai
bimari hai kuchh aur dawa aur hi kuchh hai
sab pyar ki tashhir kiya karte hain lekin
mahaul hai kuchh aur faza aur hi kuchh hai
na-fahm agar naghma samajhte hain to samjhen
gulshan mein anadil ki nawa aur hi kuchh hai
gahwara-e-har-shaKH mein gul hai abhi bechain
gulshan ki abhi aab-o-hawa aur hi kuchh hai
har gam pe chubhne lage kyon panw mein kanTe
niche rawish-e-gul ke bichha aur hi kuchh hai
duniya mein har ek shai ke muqaddar mein hai jalna
jalne ki magar sab ki ada aur hi kuchh hai
malum hai jalta hai charaghon mein faqat tel
lekin teri mahfil mein jala aur hi kuchh hai
honTon pe tabassum liye phirte raho 'kausar'
chehre pe magar haal likha aur hi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.