anjaani aawaz mein dil ne anjaane naghmat sune
anjānī āvāz meñ dil ne anjāne naġhmāt sune
tum ne bhī kuchh ḳhvāb bune the maiñ ne bhī kuchh ḳhvāb bune
ḳhush-zauqī ko apne kuchh bhī nā-qadrī manzūr nahīñ
murjhā kar jo phuul gire haiñ dāman meñ vo phuul chune
jis ko hai ehsās kī daulat us se pūchho ham-safaro
sannāTe ke saaz pe kaise ḳhāmoshī ke giit sune
darvāza to band nahīñ hai phir bhī dastak dete haiñ
dil meñ rahne vāloñ ne bhī dil ke kab ahvāl sune
anjaani aawaz mein dil ne anjaane naghmat sune
tum ne bhi kuchh KHwab bune the main ne bhi kuchh KHwab bune
KHush-zauqi ko apne kuchh bhi na-qadri manzur nahin
murjha kar jo phul gire hain daman mein wo phul chune
jis ko hai ehsas ki daulat us se puchho ham-safaro
sannaTe ke saz pe kaise KHamoshi ke git sune
darwaza to band nahin hai phir bhi dastak dete hain
dil mein rahne walon ne bhi dil ke kab ahwal sune
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.