anjum tumhein ulfat abhi karna nahin aata
anjum tumhein ulfat abhi karna nahin aata
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
'anjum' tumheñ ulfat abhī karnā nahīñ aatā
har ek pe marte ho pa marnā nahīñ aatā
aalam ke hasīñ bharte haiñ āñkhoñ meñ tumhārī
dam ishq kā bharte ho pa bharnā nahīñ aatā
ham jaan hī se apnī guzar jaa.eñ to behtar
haT-darmī se un ko jo guzarnā nahīñ aatā
lo nām-e-ḳhudā ham se banāte haiñ vo bāteñ
jin ko ki abhī baat bhī karnā nahīñ aatā
kahte ho mirī laash pe maarā hai ye kis kā
kyuuñ jī yahī kahte the mukarnā nahīñ aatā
bikhre hue bāloñ meñ bhī haiñ laakh adā.eñ
alhaḌ ko abhī mere sañvarnā nahīñ aatā
kyā vasl kī shab kaaTī hai fiqre hī batā kar
sach hai ki tumheñ baat katarnā nahīñ aatā
aisā tū hameñ piis ki hoñ āñkhoñ kā surma
ai charḳh tujhe jaur bhī karnā nahīñ aatā
haq ye hai ki anjum tirā dil Thahre to kyūñ-kar
siine pe unheñ haath bhī dharnā nahīñ aatā
'anjum' tumhein ulfat abhi karna nahin aata
har ek pe marte ho pa marna nahin aata
aalam ke hasin bharte hain aankhon mein tumhaari
dam ishq ka bharte ho pa bharna nahin aata
hum jaan hi se apni guzar jaen to behtar
haT-darmi se un ko jo guzarna nahin aata
lo nam-e-KHuda hum se banate hain wo baaten
jin ko ki abhi baat bhi karna nahin aata
kahte ho meri lash pe mara hai ye kis ka
kyun ji yahi kahte the mukarna nahin aata
bikhre hue baalon mein bhi hain lakh adaen
alhaD ko abhi mere sanwarna nahin aata
kya wasl ki shab kaTi hai fiqre hi bata kar
sach hai ki tumhein baat katarna nahin aata
aisa tu hamein pis ki hon aankhon ka surma
ai charKH tujhe jaur bhi karna nahin aata
haq ye hai ki anjum tera dil Thahre to kyun-kar
sine pe unhen hath bhi dharna nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.