anjuman ho gai sargarm-e-bayan mere baad
anjuman ho ga.ī sargarm-e-bayāñ mere baad
be-zabānoñ ne bhī kholī hai zabāñ mere baad
kaun ghar apnā jalā.egā pa.e-dīdan-e-barq
uThne pā.egā na gulshan se dhuāñ mere baad
kis ko aatā hai jale dil se duā.eñ denā
miT ke rah jā.egī ye rasm-e-fuġhāñ mere baad
ġhamza-o-nāz se ab chheḌ kahāñ hotī hai
chaliye pur-amn huā shahr-e-butāñ mere baad
āsmāñ sar-ba-garebāñ hai zamīñ ḳhāk-ba-sar
chashmakeñ kis se kare kāhkashāñ mere baad
DhūñDte ā.eñge pākān-e-tamanna 'jauhar'
mere bahke hue qadmoñ ke nishāñ mere baad
anjuman ho gai sargarm-e-bayan mere baad
be-zabanon ne bhi kholi hai zaban mere baad
kaun ghar apna jalaega pae-didan-e-barq
uThne paega na gulshan se dhuan mere baad
kis ko aata hai jale dil se duaen dena
miT ke rah jaegi ye rasm-e-fughan mere baad
ghamza-o-naz se ab chheD kahan hoti hai
chaliye pur-amn hua shahr-e-butan mere baad
aasman sar-ba-gareban hai zamin KHak-ba-sar
chashmaken kis se kare kahkashan mere baad
DhunDte aaenge pakan-e-tamanna 'jauhar'
mere bahke hue qadmon ke nishan mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.