anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab
anjuman meñ jo mirī itnī ziyā hai sāhab
ḳhūn-e-dil mere charāġhoñ kī ġhizā hai sāhab
but-shikan niklā vahī samjhā thā jis ko but-gar
jis meñ rahtā thā vahī toḌ gayā hai sāhab
aañkh se aañsū churā le gayā lekin vo shaḳhs
be-guhar siip yahīñ chhoḌ gayā hai sāhab
mujh ko jannat ke nazāre bhī nahīñ jachte haiñ
shahr-e-jānāñ hī tasavvur meñ basā hai sāhab
regzāroñ ke safar pe jo chale ho 'ālok'
koī āñkhoñ meñ liye ashk khaḌā hai sāhab
anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab
KHun-e-dil mere charaghon ki ghiza hai sahab
but-shikan nikla wahi samjha tha jis ko but-gar
jis mein rahta tha wahi toD gaya hai sahab
aankh se aansu chura le gaya lekin wo shaKHs
be-guhar sip yahin chhoD gaya hai sahab
mujh ko jannat ke nazare bhi nahin jachte hain
shahr-e-jaanan hi tasawwur mein basa hai sahab
regzaron ke safar pe jo chale ho 'alok'
koi aankhon mein liye ashk khaDa hai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.