anmol sahi nayab sahi be-dam-o-diram bik jate hain
anmol sahī nāyāb sahī be-dām-o-diram bik jaate haiñ
bas pyaar hamārī qīmat hai mil jaa.e to ham bik jaate haiñ
sikkoñ kī chamak pe girte hue dekhā hai shaiḳh o barhaman ko
phir mere khañDar kī qīmat kyā jab dair o haram bik jaate haiñ
kyā sharm-e-ḳhudī kyā pās-e-hayā ġhurbat kī añdherī rātoñ meñ
kitne hī butān-e-zohra-jabīñ bā-dīda-e-nam bik jaate haiñ
ye hirs-o-havā kī manzil hai ai rāh-ravo hushyār zarā
jab haath rupahle baḌhte haiñ rahbar ke qadam bik jaate haiñ
vo sāhib-e-ilm-o-hikmat hoñ yā paikar-e-aql-o-dānā.ī
ik mere dil-e-nādāñ ke sivā sab terī qasam bik jaate haiñ
ye shahr hai shahr-e-zardārī kyā hogā 'shamīm' anjām tirā
yaañ zehn ḳharīdā jaatā hai yaañ ahl-e-qalam bik jaate haiñ
anmol sahi nayab sahi be-dam-o-diram bik jate hain
bas pyar hamari qimat hai mil jae to hum bik jate hain
sikkon ki chamak pe girte hue dekha hai shaiKH o barhaman ko
phir mere khanDar ki qimat kya jab dair o haram bik jate hain
kya sharm-e-KHudi kya pas-e-haya ghurbat ki andheri raaton mein
kitne hi butan-e-zohra-jabin ba-dida-e-nam bik jate hain
ye hirs-o-hawa ki manzil hai ai rah-rawo hushyar zara
jab hath rupahle baDhte hain rahbar ke qadam bik jate hain
wo sahib-e-ilm-o-hikmat hon ya paikar-e-aql-o-danai
ek mere dil-e-nadan ke siwa sab teri qasam bik jate hain
ye shahr hai shahr-e-zardari kya hoga 'shamim' anjam tera
yan zehn KHarida jata hai yan ahl-e-qalam bik jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.