anokha rup dhaara hai nirala qad nikala hai
anokhā ruup dhārā hai nirālā qad nikālā hai
zarā sī shāḳh ne kaisā baḌā bargad nikālā hai
ḳhushāmad karne vaale ke hukūmat haath aa.ī hai
jo apnī jaan par khelā use sarhad nikālā hai
hazāroñ meñ kisī ik aadh ko duniyā atā key hai
hamāre vāste us ne yahī fīsad nikālā hai
ki us ko sūjhtī rahtī hai apnī sī chalāne kī
kahīñ tabrez bhejā hai kahīñ sarmad nikālā hai
bahut āsān hai allāh ko manzar badal denā
abhī masnad-nashīnī hai abhī masnad nikālā hai
ahad meñ miim rakhā hamd se pahle alif rakhā
ajab andāz se allāh ne ahmad nikālā hai
kamānā aur khānā aish karnā aur mar jaanā
nahīñ 'momin' agar jiine kā ye maqsad nikālā hai
anokha rup dhaara hai nirala qad nikala hai
zara si shaKH ne kaisa baDa bargad nikala hai
KHushamad karne wale ke hukumat hath aai hai
jo apni jaan par khela use sarhad nikala hai
hazaron mein kisi ek aadh ko duniya ata key hai
hamare waste us ne yahi fisad nikala hai
ki us ko sujhti rahti hai apni si chalane ki
kahin tabrez bheja hai kahin sarmad nikala hai
bahut aasan hai allah ko manzar badal dena
abhi masnad-nashini hai abhi masnad nikala hai
ahad mein mim rakha hamd se pahle alif rakha
ajab andaz se allah ne ahmad nikala hai
kamana aur khana aish karna aur mar jaana
nahin 'momin' agar jine ka ye maqsad nikala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.