ant samay bas ye hi jhagDa rahta hai
ant samay bas ye hī jhagḌā rahtā hai
das man lakḌī do gaz kapḌā rahtā hai
dekho aage soch samajh kar hī jaanā
aage rasta behad sukḌā rahtā hai
ab to us ko dekhe bhī arsa guzrā
jaane kyoñ jī ukhḌā ukhḌā rahtā hai
panchhī uḌ jaate haiñ sūraj ugte hī
pīpal gaTTā din bhar ujḌā rahtā hai
chāhat ulfat ishq vafā tauba tauba
chhoḌo in chīzoñ meñ lafḌā rahtā hai
is muflis laḌkī par sab kī nazreñ haiñ
jis kā thoḌā blouse udhḌā rahtā hai
ant samay bas ye hi jhagDa rahta hai
das man lakDi do gaz kapDa rahta hai
dekho aage soch samajh kar hi jaana
aage rasta behad sukDa rahta hai
ab to us ko dekhe bhi arsa guzra
jaane kyon ji ukhDa ukhDa rahta hai
panchhi uD jate hain suraj ugte hi
pipal gaTTa din bhar ujDa rahta hai
chahat ulfat ishq wafa tauba tauba
chhoDo in chizon mein lafDa rahta hai
is muflis laDki par sab ki nazren hain
jis ka thoDa blouse udhDa rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.