anwar-shuur din mein kahin raat mein kahin
'anvar-shu.ūr' din meñ kahīñ raat meñ kahīñ
rahtā hai ḳhvār shahr-e-ḳharābāt meñ kahīñ
aa.e hazār baar bulāne ke ba.ad aur
gum ho ga.e vo apne ḳhayālāt meñ kahīñ
mumkin hai bāda-ḳhāne ga.e hoñ janāb-e-shaiḳh
ghar se nikal ga.e haiñ vo barsāt meñ kahīñ
ham muntazir haiñ aur bhulā.e hue haiñ vo
kyā guftugū huī thī mulāqāt meñ kahīñ
milte haiñ roz baar meñ ham asr-tā-ishā
jaate nahīñ vahāñ se in auqāt meñ kahīñ
go saḳht nāgavār hai ghar baiThnā hameñ
kyā jaa.eñ is ḳharābī-e-hālāt meñ kahīñ
'anwar-shuur' din mein kahin raat mein kahin
rahta hai KHwar shahr-e-KHarabaat mein kahin
aae hazar bar bulane ke baad aur
gum ho gae wo apne KHayalat mein kahin
mumkin hai baada-KHane gae hon janab-e-shaiKH
ghar se nikal gae hain wo barsat mein kahin
hum muntazir hain aur bhulae hue hain wo
kya guftugu hui thi mulaqat mein kahin
milte hain roz bar mein hum asr-ta-isha
jate nahin wahan se in auqat mein kahin
go saKHt nagawar hai ghar baiThna hamein
kya jaen is KHarabi-e-haalat mein kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.