dekha jo marg to marna ziyan na tha
dekhā jo marg to marnā ziyāñ na thā
faanī ke badle mulk-e-baqā kuchh garāñ na thā
shab ko baġhal meñ thā bhī to vo dilsitāñ na thā
shoḳhī ye kah rahī thī ki yaañ thā vahāñ na thā
be-vaj.h muñh chhupāne se jo thā nihāñ na thā
par ḳhair thī kuchh is meñ ki maiñ bad-gumān na thā
ye to nahīñ ki ab ke vo mutlaq vahāñ na thā
lekin savāl-e-vasl ye kahne ko haañ na thā
vo but hī kahūñ zamīñ pe jo bala-garāñ na thā
ham-sañg lekin us kā magar āsmāñ na thā
hasrat ke sadqe aañkh ke malte hī khul gayā
vo kuchh ki mumkināt se jis kā bayāñ na thā
naala jo apnā pāya-e-tāsīr se girā
itnā subuk huā ki maiñ itnā garāñ na thā
the bazm meñ vo ġhuncha-e-afsurda sharm se
kyūñkar kahūñ bahār meñ rañg-e-ḳhizāñ na thā
kaisī hayā kahāñ kī vafā pās-e-ḳhalq kyā
haañ ye sahī ki aap ko aanā yahāñ na thā
sab kaam apnī ek nigah par haiñ munhasir
goyā mire liye to banā āsmāñ na thā
kyuuñ mujh pe tez kī nigah-e-qahr kī chhurī
maiñ daur-e-charḳh meñ koī sañg-e-fasāñ na thā
kuchh apne dil ke valvale kuchh zāhidoñ kī zid
sar phoḌne ko varna vahī āstāñ na thā
ā.īna ko vo dekhte haiñ un kī shakl ham
thā ham ko vo gumāñ ki unhīñ vo gumāñ na thā
inkār mahz mahz ġhalat mezbāñ sahī
maanā ki bazm-e-ġhair meñ tū mehmāñ na thā
dushman harīf-e-rāh-e-vafā hai ḳhudā kī shaañ
vahāñ jis pe thā yaqīn mujhe us kā gumāñ na thā
hairān huuñ hijāb-e-judā.ī uThā na kyuuñ
vo nāznīñ the maiñ to koī nā-tavāñ na thā
ab āsmāñ ban ke mirā mudda.ī banā
thī lab pe kuchh fuġhāñ to falak kā nishāñ na thā
Tapkā zamīñ pe gar falak-e-pīr ko to kyā
phir ye kaheñge sab ki vo kuchh naujavāñ na thā
kuchh jazb dil meñ jaan ke samjhe the un ko paas
ek vahm se yaqīn pe kyā kuchh gumāñ na thā
gardūñ se aaj hai falak-e-zulm phaT paḌā
siina meñ aaj hī dam-e-ātish-fishāñ na thā
husn-e-jahāñ-faroz se jis jā na the vo but
maiñ be-nishāniyoñ se jahāñ thā vahāñ na thā
yuuñ ḳhāmushī se ḳhush ki vo tasvīr the magar
yuuñ baat se ba-tañg ki guyyañ vahāñ na thā
bhārī hue yahāñ to subuk hogī zindagī
vahāñ to nazar se ham ko girānā garāñ na thā
the be-ḳhudī meñ paas vo hosh aa.ī to ga.e
chūke ġhazab hī hosh meñ aanā yahāñ na thā
aanā ye un kā sub.h ko merī ajal ke saath
ya.anī ki nāla-e-shab-e-ġham rā.egāñ na thā
thā kuchh shikast-e-dil se mirā imtihān-e-sabr
vahāñ apnī nāzukī kā faqat imtihāñ na thā
be-mehr yuuñ na ho ki ye ḳhush ho ke maiñ kahūñ
shāyad ki tū raqīb pe bhī mehrbāñ na thā
maiñ aur roz-e-vasl-e-adū aur shab-e-firāq
yahāñ āsmāñ na thā ki vahāñ āsmāñ na thā
farhād kohkan thā ye ik halkī baat hai
āshiq thā be-sutūñ kā uThānā garāñ na thā
shab mujh se aañkh maltī rahī dil raqīb se
yahāñ yuuñ sitam rahā ki kisī par ayaañ na thā
thā dostoñ kā yaar tarīq aur diloñ se duur
kyā thā jo maiñ ġhubār-e-pas-e-kārvāñ na thā
hairān huuñ ki dam meñ tire kyūñki aa gayā
maiñ varna apne dil meñ kahāñ se kahāñ na thā
martā huuñ ki kyuuñ na rahā dil meñ tīr-e-yār
ārām-jāñ thā koī āzār-jāñ na thā
dekhā na aañkh uThā ke mujhe nāzukī se jhuuT
aisā to kuchh nigāh kā uThānā garāñ na thā
ḳhālī dar un kā paayā to dil vahm se rukā
thā pāsbāñ meñ aap jo vahāñ pāsbāñ na thā
kis be-dilī se hijr meñ kī ham ne zindagī
dil thā kahāñ ki yahāñ vo but-e-dilsitāñ na thā
miT jaanā apnā us kā rahā sab ke dil pe naqsh
ek ye bhī thā nishāñ ki mirā kuchh nishāñ na thā
kuchh vahm sadd-e-rāh-e-sitam thā ki vaqt-e-zab.h
mere gulū pe ḳhanjar-e-qātil ravāñ na thā
'anvar' ne badle jaan ke lī jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudā garāñ na thā
dekha jo marg to marna ziyan na tha
fani ke badle mulk-e-baqa kuchh garan na tha
shab ko baghal mein tha bhi to wo dilsitan na tha
shoKHi ye kah rahi thi ki yan tha wahan na tha
be-wajh munh chhupane se jo tha nihan na tha
par KHair thi kuchh is mein ki main bad-guman na tha
ye to nahin ki ab ke wo mutlaq wahan na tha
lekin sawal-e-wasl ye kahne ko han na tha
wo but hi kahun zamin pe jo bala-garan na tha
ham-sang lekin us ka magar aasman na tha
hasrat ke sadqe aankh ke malte hi khul gaya
wo kuchh ki mumkinat se jis ka bayan na tha
nala jo apna paya-e-tasir se gira
itna subuk hua ki main itna garan na tha
the bazm mein wo ghuncha-e-afsurda sharm se
kyunkar kahun bahaar mein rang-e-KHizan na tha
kaisi haya kahan ki wafa pas-e-KHalq kya
han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha
sab kaam apni ek nigah par hain munhasir
goya mere liye to bana aasman na tha
kyun mujh pe tez ki nigah-e-qahr ki chhuri
main daur-e-charKH mein koi sang-e-fasan na tha
kuchh apne dil ke walwale kuchh zahidon ki zid
sar phoDne ko warna wahi aastan na tha
aaina ko wo dekhte hain un ki shakl hum
tha hum ko wo guman ki unhin wo guman na tha
inkar mahz mahz ghalat mezban sahi
mana ki bazm-e-ghair mein tu mehman na tha
dushman harif-e-rah-e-wafa hai KHuda ki shan
wahan jis pe tha yaqin mujhe us ka guman na tha
hairan hun hijab-e-judai uTha na kyun
wo naznin the main to koi na-tawan na tha
ab aasman ban ke mera muddai bana
thi lab pe kuchh fughan to falak ka nishan na tha
Tapka zamin pe gar falak-e-pir ko to kya
phir ye kahenge sab ki wo kuchh naujawan na tha
kuchh jazb dil mein jaan ke samjhe the un ko pas
ek wahm se yaqin pe kya kuchh guman na tha
gardun se aaj hai falak-e-zulm phaT paDa
sina mein aaj hi dam-e-atish-fishan na tha
husn-e-jahan-faroz se jis ja na the wo but
main be-nishaniyon se jahan tha wahan na tha
yun KHamushi se KHush ki wo taswir the magar
yun baat se ba-tang ki guyyan wahan na tha
bhaari hue yahan to subuk hogi zindagi
wahan to nazar se hum ko girana garan na tha
the be-KHudi mein pas wo hosh aai to gae
chuke ghazab hi hosh mein aana yahan na tha
aana ye un ka subh ko meri ajal ke sath
yani ki nala-e-shab-e-gham raegan na tha
tha kuchh shikast-e-dil se mera imtihan-e-sabr
wahan apni nazuki ka faqat imtihan na tha
be-mehr yun na ho ki ye KHush ho ke main kahun
shayad ki tu raqib pe bhi mehrban na tha
main aur roz-e-wasl-e-adu aur shab-e-firaq
yahan aasman na tha ki wahan aasman na tha
farhad kohkan tha ye ek halki baat hai
aashiq tha be-sutun ka uThana garan na tha
shab mujh se aankh malti rahi dil raqib se
yahan yun sitam raha ki kisi par ayan na tha
tha doston ka yar tariq aur dilon se dur
kya tha jo main ghubar-e-pas-e-karwan na tha
hairan hun ki dam mein tere kyunki aa gaya
main warna apne dil mein kahan se kahan na tha
marta hun ki kyun na raha dil mein tir-e-yar
aaram-jaan tha koi aazar-jaan na tha
dekha na aankh uTha ke mujhe nazuki se jhuT
aisa to kuchh nigah ka uThana garan na tha
KHali dar un ka paya to dil wahm se ruka
tha pasban mein aap jo wahan pasban na tha
kis be-dili se hijr mein ki hum ne zindagi
dil tha kahan ki yahan wo but-e-dilsitan na tha
miT jaana apna us ka raha sab ke dil pe naqsh
ek ye bhi tha nishan ki mera kuchh nishan na tha
kuchh wahm sadd-e-rah-e-sitam tha ki waqt-e-zabh
mere gulu pe KHanjar-e-qatil rawan na tha
'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naz ye ki ye sauda garan na tha
- Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.