mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho
mohabbat ho to barq-e-jism-o-jāñ ho
vo ātish kyā ki siine meñ nihāñ ho
nahīñ ho aur phir kahne ko yaañ ho
harīf-e-bad-gumāñ ke ham-gumāñ ho
tahayyur-e-fart shauq-e-dīd se huuñ
vahīñ mujh ko bhī dekho tum jahāñ ho
sunī jaatī ho jab mahshar meñ rūdād
to apnī ḳhatm kyūñkar dāstāñ ho
vo mustaġhnī sahī par dil gayā hai
jo phir ho to unhīñ par kuchh gumāñ ho
jo sach ho vāda-e-dīdār un kā
to bātoñ meñ qayāmat kyuuñ 'ayāñ ho
mujhe sar phoḌne meñ 'uzr kyā hai
magar un kā hī hī sañg-e-āstāñ ho
tumheñ vo parda yahāñ hai parda-dārī
mere dil meñ nahīñ to phir kahāñ ho
rukā jaatā hai dam-e-sīna meñ kyā kyā
gale par kaash ḳhanjar sā ravāñ ho
chhupā.e ham se kyā kyā raaz apne
agar koī hamārā rāz-dāñ ho
rahe kyuuñ talḳhī-e-farhād kā zikr
agar shīrīñ kī shīrīñ dāstāñ ho
zuleḳhā par na ho kyuuñ nāzish-e-ishq
ki jab yūsuf matā-e-kārvāñ ho
'adū ḳhush ḳhush hai kuchh kah kar sunā hai
na mānūñgā kabhī tum be-dahāñ ho
milā hai baiThe rahne kā sahārā
jahāñ ho aur tumhārā āstāñ ho
usī meñ faisla samjhā huuñ dil kā
kahāñ tak dekhiye zabt-e-fuġhāñ ho
yahāñ baiThe ho par kuchh ukhḌe ukhḌe
nazar miltī nahīñ dil se kahāñ huuñ
sarāpā soz hai ulfat meñ 'anvar'
ajab kyā hai agar ātish-zabāñ ho
mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho
wo aatish kya ki sine mein nihan ho
nahin ho aur phir kahne ko yan ho
harif-e-bad-guman ke ham-guman ho
tahayyur-e-fart shauq-e-did se hun
wahin mujh ko bhi dekho tum jahan ho
suni jati ho jab mahshar mein rudad
to apni KHatm kyunkar dastan ho
wo mustaghni sahi par dil gaya hai
jo phir ho to unhin par kuchh guman ho
jo sach ho wada-e-didar un ka
to baaton mein qayamat kyun 'ayan ho
mujhe sar phoDne mein 'uzr kya hai
magar un ka hi hi sang-e-astan ho
tumhein wo parda yahan hai parda-dari
mere dil mein nahin to phir kahan ho
ruka jata hai dam-e-sina mein kya kya
gale par kash KHanjar sa rawan ho
chhupae hum se kya kya raaz apne
agar koi hamara raaz-dan ho
rahe kyun talKHi-e-farhad ka zikr
agar shirin ki shirin dastan ho
zuleKHa par na ho kyun nazish-e-ishq
ki jab yusuf mata-e-karwan ho
'adu KHush KHush hai kuchh kah kar suna hai
na manunga kabhi tum be-dahan ho
mila hai baiThe rahne ka sahaara
jahan ho aur tumhaara aastan ho
usi mein faisla samjha hun dil ka
kahan tak dekhiye zabt-e-fughan ho
yahan baiThe ho par kuchh ukhDe ukhDe
nazar milti nahin dil se kahan hun
sarapa soz hai ulfat mein 'anwar'
ajab kya hai agar aatish-zaban ho
- Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.