apahij bap ko beTa akela chhoD jata hai
apāhij baap ko beTā akelā chhoḌ jaatā hai
musībat meñ to aksar saath saaya chhoḌ jaatā hai
ghanerā ho shajar kitnā nahīñ shādāb gar shāḳheñ
to in shāḳhoñ pe phir aanā parinda chhoḌ jaatā hai
uThā paatā nahīñ ḳhālī shikam jab bojh baste kā
miTāne bhuuk bachpan kī vo basta chhoḌ jaatā hai
qalam honā thā jis ke haath meñ thāme vo ḳhanjar hai
kahīñ ilm-o-adab kā apnā rastā chhoḌ jaatā hai
hifāzat mulk kī kartā hai antim saañs tak apnī
vahī pīchhe bilaktā ek rishta chhoḌ jaatā hai
apahij bap ko beTa akela chhoD jata hai
musibat mein to aksar sath saya chhoD jata hai
ghanera ho shajar kitna nahin shadab gar shaKHen
to in shaKHon pe phir aana parinda chhoD jata hai
uTha pata nahin KHali shikam jab bojh baste ka
miTane bhuk bachpan ki wo basta chhoD jata hai
qalam hona tha jis ke hath mein thame wo KHanjar hai
kahin ilm-o-adab ka apna rasta chhoD jata hai
hifazat mulk ki karta hai antim sans tak apni
wahi pichhe bilakta ek rishta chhoD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.