Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna chehra dikha gain lahren

Mohammad Asadullah

apna chehra dikha gain lahren

Mohammad Asadullah

MORE BYMohammad Asadullah

    apnā chehra dikhā ga.iiñ lahreñ

    bastiyoñ ko Darā ga.iiñ lahreñ

    ret par raat zindagī likkhī

    sub.h aa kar miTā ga.iiñ lahreñ

    in zamīnoñ kokh se janme

    āsmānoñ ko khā ga.iiñ lahreñ

    jis se raushan thā dil vīrāna

    vo diyā bhī bujhā ga.iiñ lahreñ

    koī thāme hue thā Dor udhar

    ab ke sab ko batā ga.iiñ lahreñ

    merā chehra thā ret chehra

    ek pal meñ miTā ga.iiñ lahreñ

    apna chehra dikha gain lahren

    bastiyon ko Dara gain lahren

    ret par raat zindagi likkhi

    subh aa kar miTa gain lahren

    in zaminon ki kokh se janme

    aasmanon ko kha gain lahren

    jis se raushan tha dil ka virana

    wo diya bhi bujha gain lahren

    koi thame hue tha Dor udhar

    ab ke sab ko bata gain lahren

    mera chehra tha ret ka chehra

    ek pal mein miTa gain lahren

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now