apna daman dekh kar ghabra gae
apnā dāman dekh kar ghabrā ga.e
ḳhuun ke chhīñTe kahāñ tak aa ga.e
bhuul thī apnī kisī qātil ko ham
devtā samjhe the dhoka khā ga.e
har-qadam par saath haiñ rusvā.iyāñ
ham to apne aap se sharmā ga.e
ham chale the un ke aañsū poñchhne
apnī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
saath un ke merī duniyā bhī ga.ī
aah vo duniyā se merī kyā ga.e
'naqsh' koī ham bhī jaa.eñ chhoḌ kar
jaise 'mīr'-o-'ġhālib'-o-'saudā' ga.e
apna daman dekh kar ghabra gae
KHun ke chhinTe kahan tak aa gae
bhul thi apni kisi qatil ko hum
dewta samjhe the dhoka kha gae
har-qadam par sath hain ruswaiyan
hum to apne aap se sharma gae
hum chale the un ke aansu ponchhne
apni aankhon mein bhi aansu aa gae
sath un ke meri duniya bhi gai
aah wo duniya se meri kya gae
'naqsh' koi hum bhi jaen chhoD kar
jaise 'mir'-o-'ghaalib'-o-'sauda' gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.