apna duniya se safar Thahra hai
apnā duniyā se safar Thahrā hai
gosha-e-qabr meñ ghar Thahrā hai
hijr meñ ziist ko kahte haiñ maut
naf.a kā naam zarar Thahrā hai
dil mirā us kā taraf-dār huā
jo idhar thā vo udhar Thahrā hai
aur andher huā chāhtā hai
surma manzūr-e-nazar Thahrā hai
likh havā-o-havas-e-vasl ai dil
qāsid-e-bād-e-sabā Thahrā hai
dekheñ donoñ meñ havā kis kī bañdhe
abr ai dīda-e-tar Thahrā hai
ghar jo us mah kā banā hai ai 'mehr'
dil mirā māh-e-nigar Thahrā hai
apna duniya se safar Thahra hai
gosha-e-qabr mein ghar Thahra hai
hijr mein zist ko kahte hain maut
nafa ka nam zarar Thahra hai
dil mera us ka taraf-dar hua
jo idhar tha wo udhar Thahra hai
aur andher hua chahta hai
surma manzur-e-nazar Thahra hai
likh hawa-o-hawas-e-wasl ai dil
qasid-e-baad-e-saba Thahra hai
dekhen donon mein hawa kis ki bandhe
abr ai dida-e-tar Thahra hai
ghar jo us mah ka bana hai ai 'mehr'
dil mera mah-e-nigar Thahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.