apna gham be-libas kya karte
apnā ġham be-libās kyā karte
dostoñ ko udaas kyā karte
terī āñkheñ thiiñ mai-kada lekin
apne hoñToñ kī pyaas kyā karte
ham ko apnā lahū hī piinā thā
phir badal kar gilās kyā karte
aap se hāl-e-dil chhupā to na thā
aap se iltimās kyā karte
aa na jaate jo baaġh meñ bhañvre
phuul aisī miThās kyā karte
lamha lamha badaltī duniyā meñ
vaza-dārī kā paas kyā karte
sab to chehroñ se apne the mahrūm
aa.ine in.ikās kyā karte
tujh pe apnā gumān jab na huā
ḳhud pe terā qayās kyā karte
laakh chehre the ek chehre par
phir qayāfa-shanās kyā karte
saarā aalam thā ek 'sāġhar' meñ
jā ke duniyā ke paas kyā karte
apna gham be-libas kya karte
doston ko udas kya karte
teri aankhen thin mai-kada lekin
apne honTon ki pyas kya karte
hum ko apna lahu hi pina tha
phir badal kar gilas kya karte
aap se haal-e-dil chhupa to na tha
aap se iltimas kya karte
aa na jate jo bagh mein bhanwre
phul aisi miThas kya karte
lamha lamha badalti duniya mein
waza-dari ka pas kya karte
sab to chehron se apne the mahrum
aaine inikas kya karte
tujh pe apna guman jab na hua
KHud pe tera qayas kya karte
lakh chehre the ek chehre par
phir qayafa-shanas kya karte
sara aalam tha ek 'saghar' mein
ja ke duniya ke pas kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.