apna ghar aur jalta hua chhoDna
apnā ghar aur jaltā huā chhoḌnā
ham ne sīkhā nahīñ hausla chhoḌnā
sab miTā denā jab ḳhat mirā chhoḌnā
sirf kāġhaz pe lafz-e-vafā chhoḌnā
DhūñDne kā maza ḳhatm ho jā.egā
apne ḳhat meñ na apnā patā chhoḌnā
kis kī aamad thī jab āñdhiyoñ ne kahā
rāsta dekh kar rāsta chhoḌnā
is tarah jal chukī haiñ ka.ī bastiyāñ
āñdhiyoñ meñ na jaltā diyā chhoḌnā
ham ko chhoḌā hai har shaḳhs ne is liye
ham ne chāhā na dāman tirā chhoḌnā
muskurāhaT kā bhī vaar ḳhālī gayā
tiir ab ke koī dūsrā chhoḌnā
'nūr' ko mai-kade le chale ho magar
is ko tanhā na piitā huā chhoḌnā
apna ghar aur jalta hua chhoDna
hum ne sikha nahin hausla chhoDna
sab miTa dena jab KHat mera chhoDna
sirf kaghaz pe lafz-e-wafa chhoDna
DhunDne ka maza KHatm ho jaega
apne KHat mein na apna pata chhoDna
kis ki aamad thi jab aandhiyon ne kaha
rasta dekh kar rasta chhoDna
is tarah jal chuki hain kai bastiyan
aandhiyon mein na jalta diya chhoDna
hum ko chhoDa hai har shaKHs ne is liye
hum ne chaha na daman tera chhoDna
muskurahaT ka bhi war KHali gaya
tir ab ke koi dusra chhoDna
'nur' ko mai-kade le chale ho magar
is ko tanha na pita hua chhoDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.