Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga

Zehra Nigaah

apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    apnā har andāz āñkhoñ ko tar-o-tāza lagā

    kitne din ke ba.ad mujh ko ā.īna achchhā lagā

    saara ārā.ish sāmāñ mez par sotā rahā

    aur chehra jagmagātā jāgtā hañstā lagā

    malgaje kapḌoñ pe us din kis ġhazab aab thī

    saare din kaam us din kis qadar halkā lagā

    chaal par phir se numāyāñ thā dil-āvezī zo.am

    jis ko vāpas aate aate kis qadar arsa lagā

    maiñ to apne aap ko us din bahut achchhī lagī

    vo jo thak kar der se aayā use kaisā lagā

    apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga

    kitne din ke baad mujh ko aaina achchha laga

    sara aaraish ka saman mez par sota raha

    aur chehra jagmagata jagta hansta laga

    malgaje kapDon pe us din kis ghazab ki aab thi

    sare din ka kaam us din kis qadar halka laga

    chaal par phir se numayan tha dil-awezi ka zoam

    jis ko wapas aate aate kis qadar arsa laga

    main to apne aap ko us din bahut achchhi lagi

    wo jo thak kar der se aaya use kaisa laga

    RECITATIONS

    Zehra Nigaah

    Zehra Nigaah,

    Zehra Nigaah

    apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga Zehra Nigaah

    Source :
    • Book : SHAAM KAA PAHLAA TAARAA (Pg. 72)
    • Author : Zehra Nigaah
    • Publication : Shabbir Ahmed Bhattii (1980)
    • Edition : 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now