apna har ek usul mujhe haarna paDa
apnā har ik usuul mujhe hārnā paḌā
thī jiit hī fuzūl mujhe hārnā paḌā
tadbīr merī ek na maanī bahār ne
patjhaḌ ke aage phuul mujhe hārnā paḌā
e.azāz e'timād hai us kā diyā huā
garche na thā qubūl mujhe hārnā paḌā
us kī ḳhushī thī bā.is-e-fat.h-e-hayāt-e-nau
jab vo huā malūl mujhe hārnā paḌā
jab tak havā thī saaf thā maidān haath meñ
āñkhoñ meñ aa.ī dhuul mujhe hārnā paḌā
mere bhī kyā nasīb ki vaqt-e-duā 'muhīt'
sheroñ kā thā nuzūl mujhe hārnā paḌā
apna har ek usul mujhe haarna paDa
thi jit hi fuzul mujhe haarna paDa
tadbir meri ek na mani bahaar ne
patjhaD ke aage phul mujhe haarna paDa
eazaz e'timad hai us ka diya hua
garche na tha qubul mujhe haarna paDa
us ki KHushi thi bais-e-fath-e-hayat-e-nau
jab wo hua malul mujhe haarna paDa
jab tak hawa thi saf tha maidan hath mein
aankhon mein aai dhul mujhe haarna paDa
mere bhi kya nasib ki waqt-e-dua 'muhit'
sheron ka tha nuzul mujhe haarna paDa
- Book : Pakistani Adab (Pg. 673)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.